Thread Rating:
  • 0 Vote(s) - 0 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Welcome To Poetry
#17
"NA POOCH KISTARHA SA GUZARI WOH RAAT HAMNEY...
JAB TERA KHAYAL AYA YAAD KARKEY ROTEY RAHEY.......

KIS TARHA SA IS DIL KO DUKHATEY HAIN LOG...
US AKHRI MULAQAT KO SOCH KAR ROTEY RAHEY....

JAB TO NA MILTI THI ATA NA THA QARAR HAMAIN.....
BAS TERI TASVEER KO LA KA HAATH MAIN ROTEY RAHEY...

KIS TARHA SA BEHLAYA THA HAMNEY APNI DIL KO....
BAS YAHI SOCH KAR DIL KO BEHLATEY RAHEY ROTEY RAHEY....

AIK AASHYANEY KI TARHA TUMNEY MUJHKO CHOD DIYA....
YEY DEWARO DAR MUJHEY RULATEY RAHEY ROTEY RAHEY....

YEY TAMANNA THI KEY PATA TUJHEY YEY FARRUKH.....
AGAI VASLEY-SHAB LAIKIN, IS HALAT MAIN BHI TUJHEY YAAD KARKEY ROTEY RAHEY.....

#18
bheegi hui aaNkhon ka ye manzar na milega
ghar chhor ke mat jaao kahin ghar na milega

phir yaad bahut aayegi zulfon ki ghani shaam
jab AUDuup mein saaya koi sar par na milega

aaNsu ko kabhi os ka qatara na samajhna
aisa tumhein chahat ka samundar na milega

is Khvaab ke maahaul mein be-Khvaab hain aaNkhen
bazaar mein aisa koi zevar na milega

ye soch lo ab aaKhri saaya hai mohabbat
is dar se uthoge to koi dar na milega

#19
Khuda ham ko aisi Khudaai na de
ki apane siva kuch dikhaai na de

Khatavaar samajhegi duniya tujhe
ab itni bhi zyada safaai na de

haNso aaj itana ki is shor mein
sada siskiyon ki sunaai na de

abhi to badan mein lahu hai bahut
kalam cheen le raushanaai na de

mujhe apani chaadar se yuuN AUDaaNp lo
zameen aasamaN kuch dikhaai na de

Gulaami ko barkat samajhane lagein
aseeron ko aisi rihaai na de

mujhe aisi jannat nahin chaahye
jahaan se madina dikhaai na de

main ashkon se naam-e-muhammad likhuuN
qalam chheen le raushani na de

abhii to badan mein lahu hai bahut
qalam chheen le roshanaai na de

Khuda aise irfaan ka naam hai
rahe saamane aur dikhaai na de

#20
wada raha .. wada raha pyar say pyar ka
ab hum hongay na judaa
yeah mery AUDarkaAUDany sun raha hai kudaa

Chay Tumhe kiss qader mera dil tum ko nahi hai pata

yeah mery AUDarkaAUDany sun raha hai Kudaaaaaa............

#21
ab kise chaahein kise AUDuunAUDaa karein
vo bhi aaKhir mil gaya ab kya karein

halki halki baarishein hoti rahein
ham bhi phuulon ki tarah bhigaa karein

aaNkh muoNde us gulaabi AUDuup mein
der tak baiThe use sochaa karein

dil muhabbat din duniya shayari
har dariche se tujhe dekhaa karein

ghar nayaa kapre naye bartan naye
in puraane kaaGhazon kaa kya karein

#22
haath seene pe jo rakh do to qaraar aa jaaye
dil ke ujrde hue gulshan mein bahaar aa jaaye

dil to kahta hai ki aaNkhon mein chhupa luuN tujh ko
Dar yahi hai ki muqaddar ko nakaar aa jaaye

dil ke zaKhmon pe mere pyaar kaa maraham rakh do
beqaraari mein mujhe kuch to qaraar aa jaaye

yuuN Khuda ke liye chhino na mere hosh-o-havaas
aisi nazaron se na dekho ki Khumaar aa jaaye

chhoD ke tum bhi chale jaaogi qismat ki tarah
baad azaane to ajal hi ko na pyaar aa jaaye

#23
miss U

"jab sawan main tanha bheego gay
jab angan khalee pao gay
jab sahil say takrati lehron main
apni tanhae main kho jao gay
jab raat kay tanha daman main
tum chaand ko aAUDa pao gay
jab khud say batain kartay kartay
tum door kahin kho jao gay
jab dil ki baat chupanay ko
ham say nazar tum churao gay
"main tum say mohabat karti hoon"
har baar yay sunna chaho gay
in sab lamhon main jaan lena kay
tum tum nahi "HUM" ban jao gay......

#24
ik tum ke dil main dard kisi Gair ke liye
ik ham ke dard ban gaye Khud aap ke liye

ham apane aashiyaane mein tere muntazir
tum tinke chun rahe the kisi aur ke liye

ham jaanate hain dil mein tumhaare nahin hain ham
jo Khat tumhaari aaNkhon mein the ham ne parh liye

Gam hai ke tuu ne luuT liya aitamaad ko
ik daaG de diye hain hamein umr ke liye

qaatil ki is adaa pe bhi qurbaan jaaye
Khud de ke zahar aaNkhon mein aaNsuu bhi bhar liye

thi kaun si Khata ke mili jis ki ye sazaa
hamane to umr bhar tere naqsh-e-qadam liye

"Noman" ye maana bojh hai ab tujh pe zindagi
par zindagi to teri nahin hai tere liye

#25
sitaare jo damakate hain
kisi ki chashm-e-hairaaN mein
mulaqaatein jo hoti hain
jamaal-e-abr-o-baaraaN mein

ye na abaad vaqton mein
dil-e-naashaad mein hogi
mohabbat ab nahin hogi
ye kuch din baad mein hogi

guzar jaayeinge jab ye din
ye un ki yaad mein hogi

#26
na shikaayatein na gilaa kare
koi aisa shaKhs hua kare
jo mere liye hi saja kare
mujh hi se baatein kiya kare

kabhi roye jaaye vo bepanaah
kabhi betahaasha udaas ho
kabhi chupake chupake dabe qadam
mere pichhe aa kar haNsaa kare

meri qurbatein meri chaahatein
koi yaad kare qadam qadam
main taveel safar mein huuN agar
meri vaapsi ki dua kare

#27
'mohabbet hi main hoon mohabbet hi tu hai
AUDarekte huey dil ki taskeen tu hai'

#28
us ki hasrat hai jise dil se miTa bhi na sakuN
AUDuuNAUDne us ko chala huuN jise paa bhi na sakuN

Daal kar Khaak mere Khoon pe qaatil ne kaha
kuch yeh mehandi nahin meri ke miTa bhi na sakuN

zabt kambaKht ne aur aa ke gala ghoNTaa hai
ke use haal sunaauN to suna bhi na sakuN

us ke pahalu mein jo leja ke sula duoN dil ko
neend aisi use aaye ke jaga bhi na sakuN

naqsh-e-paa dekh to luuN laakh karuNgaa sajade
sar mera arsh nahin hai ki jhuka bhi na sakuN

bevafaa likhate hain vo apani kalam se mujh ko
ye vo qismat ka likha hai jo miTa bhi na sakuN

is tarah soye hain sar rakh ke mere zaanon par
apani soi hui qismat ko jaga bhi na sakuN

#29
kehte kuch hai karte kuch hai hum tum sare log wohi hai
keh dete hai ye hoga to mar jainge wo hoga to mar jaiange
aur jab wese hojata hai.......
ansoo unke beh jate hai......
chupchup wo dukh seh jate hai......
yuhi zinda reh jate hai.....
kehte kuch hai karte kuch hai hum tum sare log wohi hai

#30
what the fuck is going on up in here

i aint complaining bout how many posts u are posting im jst saying translate the shit in english aight man
Big Tic J



Possibly Related Threads…
Thread Author Replies Views Last Post
  the ArTs AnD PoEtRy BoArD PlEaSe TaKe A lOoK As I 4324mas 5 10,089 07-21-2004, 02:11 PM
Last Post: leila



Users browsing this thread:
3 Guest(s)

Powered By MyBB, © 2002-2025 Melroy van den Berg.