Thread Rating:
  • 0 Vote(s) - 0 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Welcome To Poetry
#1
muhabbat ho bhi jaay to ...rafaqat ho nahi sakte

kise ka lan hela deyna ijazat ho nahi sakte..

hamary bad bhi tum ko koi itna kabhi chahay

hamare ankah ka anso shekayat ho naho sakte

koi harfay tasale hi jawabam keh deya hota
kese ke yaad mian tanha reazat ho nahi sakte

tumhi ko dil say bas chaha tumhara nam bas socha

tumharay bad pher ham say yeah chahat ho nahi sakte

#2
Teri judaai mei roney ki aadat hogayee

"BEWAFAII KI YEH INTEHA HOGAYEE
k tujhse juda hokar bhi jeeney ki aadat hogayee

tum laut ke aaogey humsey milney
roz dil ko behlaney ki aadat hogayee

terey waadey pe kya bharosa kiya humney
keh shab bhar tera intezaar karney ki aadat hogayee

khushi mei bhi hum kya muskuratey k
teri judaai mei roney ki aadat hogayee

kaafiley nikal gaye humein chhor k
k... ab to tanha safar ki aadat hogayee

har morh par mili ghum ki parchhaiyaan
zindagi se samjhota karney ki aadat hogayee

jaantey thay keh nahi hosaktey kabhi tum hamarey
phir bhi khuda se tujhey maangney ki aadat hogayee

paiman-e-wafaa kya hai humey kya maloom
k bewafaaon se dil laganey ki aadat hogayee

#3
MAGHROR HI SAHI MAGER ACHA BUHAT LAGA
WOH AJNABI TO THA MAGER APNA BUHAT LAGA

RAISHAM PAHAN KAR BHI MERI QEMAT NA BARH SAKI
KHADAR BHI US KAY JISAM PE MAHNGA
BUHAT LAGA

#4
AEE KHUDA AEE KHUDA SUN LE TU YE DUA
KARWA DE TU US SE DOSTI AEE KHUDA AAE KHUDA
KARTA HOON ISHQ US SE MAGAR PEHLE TUJH SE PHIR US SE AEE KHUDA KHUDA

BAS ITNI SI HAI DUA SUN LE TU YE DUA !

#5
ahh bharti hoi ayee ho slimming centre
ahh ko chahiya aik umer asar honay tuk
dieting khail nahi chund dino ka begum
aik sadi chahiya kamray ko; kamar honay tuk

#6
kash!
kabhi yun bhi to ho
k!tum kaho mujh say
tu meri ankh main khwab ban kar basti hae
teray qurub ki khwahish;teray wisil ki tamnna
hasrat ban kar meray dil main palti hae
teri yaad ankh k diya main shabh bhar
loo ban kar jalti hae
tu duaa ban kar
vird ki sorat main
har pal sajAUDa raiz rahti hae
tumhari ankhon main chamaktay jugnu
aksar main sochti hoon
kash!
kabhi yun bhi to ho
k tum mujh say kaho!!

#7
zindigi kai moor per
jab main nai apni
hayaat
yoon hari thi
hum heraan sai kharay soh rahay thy
ya kia hua akhir
magar us sai ziyada heeranimujh ko
is baat per hui
meri haar ka jushan mananay walay
koi or nahi
sab faqat
meray apnay thy

#8
RELATIONS ARE NOT JOKE BUT THEY HAVE IMPORTANCE, WHEN WE MAKE SOMEBODY OUR FRIEND OR ELSE WE MUST MEAN IT. BCZ THE RELATIONS ARE ACTUAL GUARDS OF HUMANITY.

#9
AJJ !!!
AJJ 1 DAU AUR MANG LOO
AJJ 1 SAPNA AUR DEKH LO
AJJ 1 HANSI AUR BANTH LO
AJJ 1 ANSOO AUR PEEY LOO
AJJ 1 ZINDAGI AUR JEE LOO
KIYA PATA
KAL HO NA HO!!!!!!!!**

#10
na kah saaqi bahaar aane ke din hain
jigar ke daaGh chhil jaane ke din hain

adaa si Khuub adaa aane ke din hain
abhi to duur sharmaane ke din hain

garebaaN AUDuuNAUDate hain haath mere
chaman mein phuul khil jaane ke din hain

tumhein raaz-e-mohabbat kya bataayein
tumhare khelne khaane ke din hain

ghaTaayein uunchi uunchi kah rahi hain
may-e-anguur khinchvaane ke din hain

#11
THE PEOPLE WHICH CHANGE THEIR WAYS ;WHY THEY CHANGE IT ; WHY

#12
'mere paoon chalni huey mager
kahin ruk saka na mera humsafar
meri narsaee k haath mein
na chiraagh hai na koee huner
kisi raaste ki talash mein
hai lahu lahu meri chashme ter
meri bebasi k hisaab mein
aey mere khuda mere moataber
koee humsafar
wohi humsafar'

#13
aaj ki raat bhi guzri hai meri kal ki tarah
haath aaye na sitaare tere aaNchal ki tarah

raat jalti hui ik aisi chita hai jis par
teri yaadein hain sulagte huye sandal ki tarah

tu ki dariya hai magar meri tarah pyasa hai
main tere paas chala aauNgaa baadal kii tarah

main huN ik Khvaab magar jaagti aaNkhon kaa "Noman"
aaj bhi log gavaN de na mujhe kal ki tarah

#14
chehre pe mere zulf ko phailaao kisii din
kyaa roz garajate ho baras jaao kisi din

raazon ki tarah utro mere dil mein kisi shab
dastak pe mere haath ki khul jaao kisi din

peDon ki tarah husn ki baarish mein nahaa luuN
baadal ki tarah jhuum ke ghir aao kisi din

Khushbu ki tarah guzro mere dil ki gali se
phulon ki tarah mujh pe bikhar jaao kisi din

phir haath ko Khairaat mile band-e-qaba ki
phir lutf-e-shab-e-vasl ko doharaao kisi din

guzaren jo mere ghar se to ruk jaayen sitare
is tarah meri raat ko chamakaao kisi din

main apani har ik saans usi raat ko de duuN
sar rakh ke mere seene pe so jaao kisi din

#15
Aur kia daday wafa chiya tery wafa kay baad

Jab Bhi logh yaad kartey hain mujhe tery naam kay baad

#16
WHO SAHIL OR MAIN SHARA
DONO KA HAI DARD IKHARA
UAUDER BHATI HAIN NUM HAWAIN
OR APNA DAMAN SHARA MANIND
SUCH POCHOO TO MERI JAAN
YAHAN REHNAY KO JI KARTA HAI
MAGAR YA BHI TO SOCHO MERI JANA
HUM KO BHI WAPAS JANA
SARI UMAR KHUD KO YA SMJHANA
KHEELNAY KO CHAND NAHI MILTA
MURJHAYA PHOOL NAHI KHILTA,



Possibly Related Threads…
Thread Author Replies Views Last Post
  the ArTs AnD PoEtRy BoArD PlEaSe TaKe A lOoK As I 4324mas 5 10,092 07-21-2004, 02:11 PM
Last Post: leila



Users browsing this thread:
3 Guest(s)

Powered By MyBB, © 2002-2025 Melroy van den Berg.