Thread Rating:
  • 0 Vote(s) - 0 Average
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
Shair O Shairi
#1
Woh Din Woh Mehfilain Woh Shagufta Mizaaj Log ... Mauj-e-Zamana Lay Gayee Janain Kahan Kahan !!!

#2
IRADA......darya main qatray ki soorat ; gum hojaon ; apnain aap say bahir nikloon ; TuM hojaoon !!!

#3
Woh Joo Geet Tum Nain Suna Nahin Meri Umer Bhar Ka Riaz Tha...Meray Dard Ki Thii Woh Dastaan Jissay Tum Hansi Main Uda Gaye !!!

#4
Tujh say bichar kay hum bhi muqaddar kay ho gaye...phir jo bhi dar milla ussi dar kay hogaye ; Phir youn hua kay ghair ko dil say laga liya...andar woh nafratain thiin kay bahir kay hogaye ; Kya log thay kay jaan say baAUD kay aziz thay...ab dil say mahw-e-naam bhi aksar kay hogaye ; Ab yaad-e-yaar tujh say karain kya shikayatain...au dard-e-hijr hum bhi tau patthar kay hogaye ; Samjha rahay thay mujh ko sabhii nasahian-e-shaher...phir rafta rafta khud ussi kafir kay hogaye ; Ab kay na intezaar karain chara gar ka hum...ab kay gaye tau kooy-e-sitam gar kay hogaye ; Rotay ho ik jazeera-e-jaan ko faraz tum...dekho tau kitnain shaher samandar kay hogaye~~~By Ahmed Faraz~~~

#5
Deewaar Kya Girri Mere Kacchay Makaan kii...Logon nain mere sehan say rasta bana liya !!!

#6
MAIN APNAIN GHAR MAIN ...... Main apnain ghar hii ajnabii sa hogaya hoon aakar ; mujhay yahaan dekh kar meri rooh darr gayee hai ; shaam ki sab aarzoain konon main jaa chupii hain ; loian bujha dii hain apnain chehron kii , hasraton nain ; kay shoq pehchanta hi nahin ; muradain dehleez hii par sar rakh kay marr gayee hain ; main kis watan ki talaash main youn chala tha ghar say ; kay apnain ghar main bhi ajnabi hogaya hoon aakar !!!~~~By Gulzaar~~~

#7
Waqt-e-Rukhsat Aagaya Dil Phir Bhi Ghabraya Nahin ... Usko Hum Kya Khoain Gay Jis Ko Kabhi Payaa Nahin !!!

#8
CHALAIN HUM FARZ KARTAIN HAIN...... Yeh kaisa khail hai taqdeer kii be naam baazi ka ; kay jo haray hain , so haray hain ; magar jo jeet jatay hain ; inhain bhi ik uljhan ki daldal ghair laitii hai ; kay ikk mushkil kay baad ikk aur mushkil ghair leti hai ; samajhnain keliye aayen ; chalain hum farz kartay hain ! ; " Kissi lamhay kissi ikk shakhs ko paana hamarii zindagi say bhi zyada besh qeemat tha ; bass uski aarzoo main saari duniya bhool bethay thay ; bass uska naam letay thay , ussi ko yaad kartay thay ; ussi ki AUDun main jeetay thay ussi kay gham main martay thay ; tau phir kuch youn hua ikk roz usko paalia hum nain , ussay rangon ki dolii main bitha kar ghar main lay aaye ; tassuwur ki har ik khushboo gul-e-manzar main le aaye " Kahanii aagay chalti haii !" Tau hota istarah hai - zindagi kay karkhanain main ; dinon kay aanain jaanain main ; jahan kay an ginat kaamon ka chakkar chalnain lagta hai ; aankhain dair tak bedaar rehnain say sulagti hain ; zaban ikk tajirana aur musalsal jhoot ; ki takraar say uktanay lagtii hai ; magar majboor hoti hai ; kay duniya ka dabao usko ruknain hi nahin deta ; koi bekaar sa qissa woh phir duhranain lagti hai ; thakan aur neend ki milti hadon main , sard bistar par ; saher say raat tak kii be nateeja guftugooo ; yaad anain lagti hai ; tau us lamhay ; woh umron ki riazat ka samar , woh gohar-e-yukta ; ussi shiknon bharay bistar kay ikk hissay main hota hai ; magar mahsoos hota hai ; kay jaisay woh hazaron meel kii doori pay rehta hai ; issi dooriii kay sahra main kayee ratain bikhartii hain ; din fout hotay hain ; tau phir ikk din ; kissi be naam say ahsaas kii aahat ; hamaray hast ki khali gali main gonjtii hai ; aur humain bedaar karti hai , batati hai ; kay hum jis ghar main rehtay hain ; wahan kuch khoobsoorat khuwaab bhii aabad hotay thay "Chalain Hum Farz Kartay Hain ; Yeh Sab Kuch Ikk Kahanii Hai ; Magar Kitni Poorani Hai !!!~~~By AMJAD ISLAM AMJAD~~~

#9
Un Say Jo Kahnain Gaye Thay Faiz Jaan Sadqa Kiye ... Ankahi Hii Reh Gayee Woh Baat Sab Baton Kay Baad !!!

#10
Samay Jaisay Guzarta Jaaraha Hai ; Koi Dil Say Utterta Jaa Rahaa Hai ; Bana Tha Reteelii Mittii Say Jeevan ; Bikharta Hi Bikharta Jaraha Hai !!!~~~By Farhat Abbas Shah~~~

#11
Ujalay Apni Yadon Kay Hamaray Saath Rehnain Do...Najanain Kis Gali Main Zindagii Ki Shaam Hojaye !!!

#12
Dost ban kar bhi nahin saath nibhanain wala...wahi andaaz hai zalim ka zamanain wala ; Ab ussay log samajhtay hain griftaar mera...sakht nadim hai mujhay daam main lanain wala ; Subehdam chor gaya nighat-e-gul ki soorat...raat ko ghunchay-e-dil main simat aanain wala ; Kya kahain kitnain marasim thay hamaray us say...woh jo aik shakhs hai munh phair kay janain wala ; Tere hotay huay aajatii thi saari duniya...aaj tanha hoon tau koi nahin aanain wala ; Muntazir kis ka hoon tootii hoiyee dehleez pay main...kon aaye ga yahan kon hai aanain wala ; Kya khabar thi jo meri jaan main ghula hai itna...hai wohi mujh ko sar-e-daar bhii lanain wala ; Mein nain dekha hai baharon ko chaman main jaltay...hai koi khuwab ki taabeer batanain wala ; Tum takkuluf ko bhi ikhlaas samajhtay ho faraz...dost hota nahin har haath milanain wala !!!~~~By Ahmed Faraz~~~

#13
Woh Din Woh Mehfilain Woh Shagufta Mizaaj Log ... Mauj-e-Zamana Lay Gayee Janain Kahan Kahan !!!

#14
HAATH CHOOTAY BHI TAU RISHTAY NAHIN CHORA KARTAY !!!...Haath chootay bhi tau rishtay nahin choda kartay...waqt ki shaakh say lamhay nahin toda kartay ; Jis kii aawaaaz main silwat ho nigahon main shikan...aisii tasweer kay tukday nahin joda kartay ; Shehad jeenain ka milla karta hai thoda thoda...jaanain walon keliye dil nahin toda kartay ; Lag kay sahil say jo behta hai usay behnain doo...aisay darya ka kabhi rukh nahin moda kartay!!!~~~By Gulzaar~~~

#15
Amjad Kissi Taraf Bhi Sahara Na Tha Koi ... Jab Bhi Girray Tau Khud Hi Sanbhalna Pada Humain !!!

#16
yo gracious

where u at why aint i seeing up in here you always bout supporting causes

so why aint u in here supporting your paki brothers
Big Tic J





Users browsing this thread:
1 Guest(s)

Powered By MyBB, © 2002-2024 Melroy van den Berg.